Happy Republic Day 2015 Songs Lyrics

Republic Day of India is not a holiday, it a special festival day which is celebrates by the lovely children's, younger and  old citizens of India on the every 26th of January from 1950-2015. So in this new year "Happy Republic Day 2015" will be also celebrates with some beautiful Desh Bhakti/Patriotic Hindi songs. These "Happy Republic Day 2015 Songs" are singing by the students in schools and colleges, historical places and singing by all the peoples on that day for our great warriors of India.

Happy Republic Day 2015 Songs Lyrics


1. MAA TUJE SALAAM.../VANDE MAATARAM

Vande Mataram...
Yahaan wahaan saara jahaan dekh liya hai
Kahin bhi bhi tere jaisa koi nahin hai

Assi nahin sau din duniya ghuma hai
Nahi kahin tere jaisa koi nahin
Main gaya jahan bhi
Bas teri yaad thi
Jo mere saath thi mujhko tadpaati rulaati
Sab se pyaari teri soorat
Pyaar hai bas tera pyaar hi
Maa tujhe salaam
Maa tujhe salaam
Amma tujhe salaam

Vande Mataram, Vande Mataram (x3)

Vande maataram...
Vande maataram..

Tere paas hi main aa raha hoon
Apni baahein khol de
Zor se mujhko gale laga le
Mujhko phir woh pyaar de
Maa...

Tu hi zindagi hai
Tu hi meri mohabbat hai
Tere hi pairon mein jannat hai
Tu hi dil
Tu jaan
Amma..

Maa tujhe salaam
Maa tujhe salaam
Amma tujhe salaam, maa tujhe salaam

Vande maataram..

2. AESA DESH HAI MERAA....

Ambar hethaan dharti vasdi, ethey har rut hansdi ho..
Kinnaa sonaa des hei meraa des hai meraa des hai meraa
Des hai meraa

Dharti sunhari ambar neelaa
Dharti sunhari ambar neelaa
Har mausam rangeelaa
Aisaa des hai meraa ho... Aisa des hai mera
Aisaa des hai meraa ho... Aisa des hai mera
Bole papihaa koyal gaaye
Bole papihaa koyal gaaye
Saavan ghir ghir aaye
Aisa des hai meraa ho.. aisaa des hai mera
Aisa des hai meraa ho.. aisaa des hai mera

Kothe te kaa bole, chitthi mere maahiye di
Vich aaney daa vi naam bole, chitthi mere maahiye di

Genhoo ke kheton mein kanghi jo kare hawaayein
Rang birangi kitni chunariyaan ud ud jaayein
Panghat par panhaaran jab gagri bharne aaye
Madhur madhur taanon mein kahin bansi koi bajaaye
Lo sun lo qadam qadam pe hai mil jaani..
Qadam qadam pe hai mil jaani, Koi prem kahaani
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa
Aisaa des hai meraa haan.. Aisaa des hai meraa

O.. meri jugni de dhaage bagge, jugni os de moonh to fabbe
Jihnu satt ishq di lagge, oye Sai mereya o jugni
Veer mereyaa jugni kahandi hai
O naam saayehen daa leindi hai

O dil kad litaa ee jind meriye...

Baap ke kandhe chadh ke jahaan bachche dekhein mele
Melon mein nat ke tamaashe, kulfi ke chaat ke thele
Kahin milti meethi goli, kahin chooran ki hai pudiya
Bhole bhole bachche hain, jaise guddey aur gudiyaa
Aur inko roz sunaayein daadi naani ho..
Roz sunaaye daadi naani ik pariyon ki kahaani
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa

Sadke sadke jaandi hai mutiyaare ni
Kandaa chubhaa phir pair baanki naarey ni
Oy, ni adiyeh kandaa chubhaa phir pair baanki naarey ni
Kaun kade teraa kaandraa mutiyaare ni
Kaun sahe teri peed baanki naarey ni
Oy, ni adiyeh kaun sahe teri peed baankiiyeh naarey ni

HO...
Mere des mein mehmaanon ko bhagvaan kahaa jaataa hai
Woh yahin kaa ho jaataa hai, jo kahin se bhi aataa hai

Aa... Tere des ko maine dekha tere des ko maine jaana
Aa... Tere des ko maine dekha tere des ko maine jaana

Jaane kyun ye lagta hai mujhko jaanaa pahchaana
Yahaan bhi vahi shaam hai wahi saveraa
Wahi shaam hai vahi saveraa

Aisaa hi des hai meraa jaisaa des hai teraa
Waisaa des hai teraa haan jaisaa des hai teraa
Aisaa des hai meraa ho.. Jaisaa des hai teraa
Aisaa des hai meraa haan.. Jaisaa des hai meraa

3. AE MERE WATAN KE LOGON..


Aye mere watan ke logon
Tum khoob laga lo naara
Ye shubh din hai hum sab ka
Lehraa lo tirangaa pyara
Par mat bhoolo seemaa par
Veeron ne hai praan ganwaaye
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Jo laut ke ghar na aaye
Jo laut ke ghar na aaye

Aye mere watan ke logon
Zara aankh mein bhar lo paani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani (x2)

Jab ghaayal huaa Himalaya
Khatre mein padi aazaadi
Jab tak thi saans lade wo
Jab tak thi saans lade wo
Phir apni laash bichhaa di
Sangeen pe dhar kar maatha
So gaye amar balidaani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani

Jab desh mein thi Diwaali
Wo khel rahe the Holi
Jab hum baithe the gharon mein
Wo jhel rahe the goli
Thay dhanya jawaan wo apne
Thi dhanya wo unki jawaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani

Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Gorkha koi Madrasi
Koi Gorkha koi Madrasi
Sarhad pe marane waala
Har veer tha Bharatwasi
Jo khoon gira parvat par
Wo khoon tha Hindustani
Jo shahid huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani

Thi khoon se lath pat kaaya
Phir bhi bandook uthaake
Dus dus ko ek ne maara
Phir gir gaye hosh ganwaa ke
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Ab hum to safar karte hain
Ab hum to safar karte hain
Kya log thay wo deewaane
Kya log the wo abhimaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani

Tum bhool naa jaao unko
Iss liye kahi ye kahaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Jay Hind... Jay Hind ki senaa
Jay Hind... Jay Hind ki senaa
Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind


4. MERA RANG DE BASANTI CHOLA...


Mera rang de..
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maiye rang de
O...

Nikle hai veer jiya le
Yun apna seena taane
Hans hans ke jaan lutane aazad savera laane

Marke kaise jeete hain iss duniya ko batlane
Tere laal chale hai maaye ab teri laaj bachane (x2)

Azadi ka shola banke khoon rago mein dola
Mera rang de..
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de

Din aaj ka bada suhaana mausam bhi bada sunehra
Hum sar pe baandh ke aaye balidaano ka yeh sahera
Betaab humaare dil mein ek masti si chhaayi hai
Aye desh alvida tujhko kehne ki gadi aayi hai
Mehake gaye teri fiza mein hum banke hawa ka jhonka
Kismat walo ko milta aise marne ka mauka
Nikli hai barat saja hai inquilab ka dola
Mera rang de
Mera rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de

5. SARFAROSHI KI TAMANNA...

Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai (x2)

Waqt aane pe bata denge tujhe ae aasmaan
Kya baatein hum junoonein shauq kis manzil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna

Doriyaan ummeed ki na aaj humse choot jaaye
Milke dekha hai jinhe woh sapne bhi na rooth jaayein
Hausle woh hausle kya jo sitam se toot jaaye
Hausle woh hausle kya jo sitam se toot jaaye

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Tere sone roop ko hum ek nayi bahar denge
Apne hi lahoon se tera rang hum nikhaar denge
Desh mere desh tujhpe zindagi bhi waar denge
Desh mere desh tujhpe zindagi bhi waar denge
Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Khushboo banke mehka karenge hum lehlahti har faslon mein
Saans ban ke hum gun-gunayenge aane wali har naslo mein hum (x2)
Aane wali aane wali naslo mein...

Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
Waqt aane pe bata denge tujhe hai aasmaan
Kya baatein hum junoonein shauq kis manzil mein hai

6. AE MERE PAYRE WATAN...

Ae mere pyaare watan
Ae mere bichhde chaman
Tujhpe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan (x2)

Tere daaman se jo aaye unn hawaaon ko salaam
Tere daaman se jo aaye unn hawaaon ko salaam
Choom lun main us zubaan ko jisape aaye teraa naam

Sabse pyaari subah teri
Sabase rangeen teri shaam
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

Maa kaa dil banke kabhi seene se lag jaata hai tu
Maa kaa dil banke kabhi seene se lag jaata hai tu
Aur kabhi nanhi si beti ban ke yaad aata hai tuu
Jitna yaad aataa hai mujhako
Utanaa tadpata hai tu
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

Chhod kar teri zameen ko door aa pahunche hain hum
Chhod kar teri zameen ko door aa pahunche hain hum
Phir bhi hai ye hi tamanna tere zarron ki qasam
Hum jahaan paidaa hue
Us jagah pe hi nikale dum
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

7. CHAK DE INDIA....

Kuch kariye, kuch kariye.. nas nas meri khole, haaye kuchh kariye
Kuch kariye, kuch kariye.. bas bas bada bole, ab kuchh kariye
Ho koi toh chal zidd phadiye, doobe tariye ya mariye
Haaye koi toh chal zidd phadiye, doobe tariye ya mariye

Chak de ho chak de India (x4)

No where to run no where to hide
Lets take our time till we drop…

Koochon mein, galiyon mein
Raashan ki phaliyon mein
Bailon mein beejo mein
Geeton mein dijon mein
Reton ke daano mein
Filmon ke gaano mein
Sadko ke gaddon mein
Baaton ke addo mein
Hunkaar aaj bhar le
Das baarah baar kar le
Rehna na yaar pichhe kitna bhi koi khinche
Tas hai na mas hai ji, jid hai toh jid hai ji
Pisna yuun hi pisna yuun hi bas kariye

Koi toh chal zidd phadiye doobe tariye ya mariye
Koi toh chal zidd phadiye doobe tariye ya mariye

Chak de ho chak de India (x4)

Ab kuchh kariye...

8. KAR CHALE HUM FIDA....


Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon

Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,

Saans thamti gayi, nabz jamti gayi
Phir bhi badhte kadam ko na rukne diya
Kat gaye sar hamaare, toh kuch gham nahin
Sar Himalaya ka humne na jhukne diya
Marte marte raha baankpan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Zinda rehene ke mausam, bahut hai magar
Jaan dene ki rut roz aati nahin
Husn aur ishq dono ko ruswa kare
Woh jawaani jo khoon mein naahati nahin
Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Raah qurbaaniyon ki na veeran ho
Tum sajaathe hi rehna naye kaafile
Fathe ka jashn is jashn ke baad hein
Zindagi maut se mil rahi hai gale
Bandlo apne sar se kafan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..

Khench do apne khoon se zameen par laqeer
Iss tarah aane ne paaye na raawan koyi
Tod do haath agar haath uthne lage
Chhune paaye na Sita ka daaman koyi
Ram bhi tum, tumhi Lakshman saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon....

 9. MERE DESH KI DHARTI....

Mere desh ki dharati..
O Mere desh ki dharati sonaa ugle, ugle heere moti
Mere desh kee dharati

Bailon ke gale mein jab ghungaru
Jeevan kaa raag sunaate hai
Gham koson door ho jaataa hai
Khushiyon ke kanwal musakaate hai

Sun ke rahat kee aawaaje
Yun lage kahin shehanai baje
Aate hi mast bahaaron ke dulhan ki tarah har khet saje
Mere desh ki dharati..

Jab chalte hain iss dharati pe hal, mamtaa angadaiyaan leti hai
Kyo naa pooje iss maati ko, jo jeevan ka sukh deti hai
Is dharati pe jis ne janam liya, usne hi paaya pyaar tera
Yahaan apnaa paraaya koi nahi, hain sab pe, maan, upakaar tera
Mere desh ki dharati..

Ye baag hain Gautam Nanak ka, khilte hain aman ke fool yahaan
Gaandhi, Subhaash, Tagore, Tilak ayese hain chaman ke phool yahaan
Rang haraa hareesing nalawe se, rang laal hain laal bahaadoor se
Rang banaa basantee bhagatasing rang aman kaa weer jawaahar se

10. GHAR AAJA PARDESHI.....


Ho Koyal Koohke Hook Uthaye Yaadon Ki Bandook Chalaye
Baagon Mein Jhuloon Ke Mausam Wapas Aaye Re
Ghar Aaja Pardesi Tera Des Bulaye Re

Is Gaon Ki Anpadh Mitti Padh Nahin Sakti Teri Chitthi
Yeh Mitti Tu Aakar Chume To Is Dharti Ka Dil Jhume
Maana Tere Hain Kuch Sapne Par Hum To Hain Tere Apne
Bhulnewale Humko Teri Yaad Sataaye Re
Ghar Aaja Pardesi Tera Des Bulaye Re

Panghat Pe Aai Matiyare, Chham Chham Payal Ki Jhankaren
Kheton Mein Lehrai Sarson, Kal Parson Mein Beete Barson
Aaja Tu Gaata Hansta Tera Rastaa Dekhe Rastaa
Are Chhuk Chhuk Gaadi Ki Siti Aawaz Lagaaye Re
Ghar Aaja Pardesi Tera Des Bulaye Re

Haath Mein Puja Ki Thali, Aai Raat Suhagonwali
Chand Ko Dekhun Haath Mein Jodu, Kadwa Chaut Ka Wrat Maein Todun
Tere Haath Se Peeke Paani Daasi Se Ban Jaun Raani
Aaj Ki Raat Jo Maange Koi Woh Pa Jaaye Re
Ghar Aaja Pardesi Tera Des Bulaye Re

Oh Man Mitra, Oh Man Meeta Tenu Rab De Hawaale Kita
Duniya Ke Dastur Hain Kaise, Pagal Dil Majboor Hain Kaise
Ab Kya Kehna Ab Kya Sunna, Tere Mere Beech Yeh Raina
Khatam Hui Yeh Aankh Micholi, Kal Jaayegi Meri Doli
Meri Doli Meri Arthi Na Ban Jaaye Re
Ghar Aaja Pardesi Tera Des Bulaye Re

Incoming Searches

Happy Republic Day 2015 Songs for whatsapp
Happy Republic Day 2015 Songs for facebook
Happy Republic Day 2015 lyrics for whatsapp
Happy Republic Day 2015 lyrics for facebook
Share on Google Plus

About Unknown

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment